Sunday, April 12, 2009

Kya baat karte ho...


Kehte hain zindagi ek ajeeb paheli hai...
Ek pal mein khush toh agle hi pal dukhi aur akeli hai,
Aise kai lamhat aate hain,
jin me in hum khud nahi samajh pate hain,
ki kya hum keh rahe hain aur kya hum kehna chahte hain...


Bachpan ki us likhayi se,
rangeen khwabon ki unchayi se,

Na jaane kya baat karte ho...

Har jeet mein lehrayi se,
Kabhi haar mein gehrayi se,

Na jaane kya baat karte ho...

Hakikat se.. kabhi sapno se,
kuch gairo se.. sab apno se,

Na jaane kya baat karte ho...

Mehfil mein tanhayi se,
Jo kho gaya uski judayi se,

Na jaane kya baat karte ho...

Kehte ho zyada, sunte ho kam,
Zahir karte khushi, bheetar chipe gham,
Zindadili ki is aguvayi se,

Na jaane kya baat karte ho...

Sochte ho, "zyada sochunga nahi main,
Jo chahe ho, peeche dekhunga nahi main..."
Is bhram ki sachchaayi se,

Na jaane kya baat karte ho...

"Jo galat hua, uski sazaa doonga,
Nahi... main sab kuch bhula doonga..."
Kya hai sahi, aur kya galat...
Is adaalat ki sunwayi se...

Na jaane kya baat karte ho...

Ant mein kya paaya, ant mein kya khoya,
Chune kitne moti.. kitno ko piroya,
Us farsh ki thandayio se,
Aur us safed razaayi se...

Na jaane kya baat karte ho...
Na jaane kya baat karte ho...

Na jaane kya baat karte ho...

3 comments:

  1. another gr8 one by Mr.Anshul ... Kya baat hain...

    ReplyDelete
  2. Loved the poem... specially this part...

    "Jo galat hua, uski sazaa doonga,
    Nahi... main sab kuch bhula doonga..."
    Kya hai sahi, aur kya galat...
    Is adaalat ki sunwayi se...

    Na jaane kya baat karte ho...

    Mahakavi hai yaar tu!

    Is it okay if I keep it as a status mesg for the day?
    i will put ur name under it...

    ReplyDelete
  3. @anuprit
    sure you can... apni hi poem hai yaar!!!

    ReplyDelete