Sapne toh hum sabhi dekhte hain. Sapne... kuch ache, kuch bure. Kuch sapne hamare dilon ko chu jaate hain, toh kuch jinse hum khud door bhagte hain... Kuch sapne hum bar-bar dekhte hain, par unke pure hone ki chaah, kai baar ek chaah hi reh jaati hai...
Aisa hi ek sapna maine bhi dekha, aur usme dekhi sapno ki barsaat..
Wo maddham si barsaat,
wo bheegi bheegi raat,
yaad hai aaj bhi mujhe,
hamari pehli mulakaat…
Wo sama hi kuch aur tha,
madmast anokha dour tha,
aankhon mein doobi thi aankhen,
siva tumhare na koi aur tha…
Wo jannat sa haseen chehra,
zulfein wo teri resham si,
nazaron mein chamakta wo kaajal,
gaalon ki mehek sheesham si...
Chaahat thi meri bas itni,
ki hota rahe deedar tera,
aaye na ab kab judaai tujhse,
saath rahe har pal saath tera...
Us raat se lekar aaj tak,
Lamhe beete, arse beete,
Teri yaad mein, tanhayi mein hum,
hanskar apne aasun peete...
Is dil ko na kabhi samjha sake,
Sach nahi, sirf tha wo sapna,
paas ho kar bhi lagta tha door,
pal mein paraya, pal mein apna…
Har raat ab teri yaad mein,
karte bas wahi ek baat,
aa jaye fir tu samne,
ho jaye fir wahi sapno ki barsaat.
ho jaye fir wahi sapno ki barsaat..
ho jaye fir wahi sapno ki barsaat...
Friday, September 11, 2009
Tuesday, September 8, 2009
Friends Forever...
Friends forever, may be whatever,
Some pretty dumb, some too clever.
Everyone is special, everyone is such,
Not saying much… will forget you never…
In each funny play of that yesterday,
One thing my heart always wanted to say,
“Let this moment just follow, like today be tomorrow,
Let there be no sorrow, only happiness further lay…”
But today I realize, that it was to be otherwise,
My heart is not sad but rather on a rise,
Coz the time we spent, remembering each moment,
Has made our lives truly king size…
Dots left behind, today we’ll join,
Some part by part, some line by line,
And make a mosaic, of not anything fake,
Of all thick n thin, of all shame n shine…
We are friends forever.
Subscribe to:
Posts (Atom)